Wednesday, October 24, 2012

mere saamne waali khidki mein

(mere saamne waali khidki mein ek chaand ka tukda rehta hai) -2 afsos ye hai ke vo hamse kuchh ukhda ukhda rehta hai mere saamne waali khidki mein ek chaand ka tukda rehta hai jis roz se dekha hai usko ham shamaa jalaana bhool gaye dil thaam ke aise baithe hain kahin aana jaana bhool gaye ab aath pahar in aankhon mein vo chanchal mukhda rehta hai mere saamne waali khidki mein ek chaand ka tukda rehta hai (barsaat bhi aakar chali gayi baadal bhi garaj kar baras gaye) -2 par uski ek jhalak ko ham ai husn ke maalik taras gaye kab pyaas bujhegi aankhon ki din raat ye dukhda rehta hai mere saamne waali khidki mein ek chaand ka tukda rehta hai afsos ye hai ke vo hamse kuchh ukhda ukhda rehta hai mere saamne waali khidki mein ek chaand ka tukda rehta hai

No comments: