Friday, October 26, 2012

jivan se bharee


jivan se bharee teree aankhe, majbur kare jine ke liye
saagar bhee taraste rehte hain, tere hoth kaa ras pine ke liye

tasvir banaaye kya koyee, kya koyee likhe tujhape kavita
rango chhando me samaayegee, kis tarah se itanee sundarata
ek dhadkan hai tu dil ke liye, ek jaan hai tu jine ke liye
jivan se bharee teree aankhe

madhuban kee sugandh hai saanso me, baaho me kamal kee komalata
kirno kaa tej hai chehare pe, hirno see hai tujhame chanchalata
aanchal kaa tere hai saar bahut, koyee chak jigar sine ke liye
jivan se bharee teree aankhe

No comments: